Sunday, May 31, 2015

Bezubaan....!!

Shayad kahi thehar si gayi is zindagi ko manjil Najar Agayi, Shayad chup reh gayi is zindagi ko alfaz mil Rahe hai, Shayad nange Pav chal rahi in nazro ko sukun ki zameen mil gayi...

Raste khamosh se hue jo aaj baat karne lage, Pehchan Bana rahi meri zameen us aasmaan se shayad aab milne lagi, kshitiz ke us berang se khwab main aab shayad rang bharne lage...

Zeene ki ek Nayi lat laga rahi jaise mujhe, toh har lamha jaise Daud pakadna chahta hai mujhe, Har saans ki awaj bhi aab shayad mukamal si lagne lagi khud me, Dekho toh kahi aadat na pad Jaye...

Akhir hu toh Bezubaan.......!!