Thursday, December 15, 2011
Love v/s Pain... !!
Kabhi Kabhi kyu aise hota hai ki kuch samjh nahi aata, khud ko bandha hua sa mehsus karti hu, ek tanhayi, ajeeb si jakran hoti hai.
Phir us akelepan ko hi aapna dost bana kai chalti hu, har cheez ko karne ki aapni limit.. Ki kahi isse jada or kiya toh kuch galat na ho kahi kisi ko ajeeb sa na lage....
Bas aapne aap main aapne aap ko jod kai or sahejti hu or nikharti hu ki jab wo cheez sabke samne aaye toh ek muskaan si laaye.
Bas aapni zindagi main sabko khush or sambhal kai rakhna chahti hu..
Na dena hai gum na wo dard kisko, Hai us ranjeesh sai bhi pyaar aab toh mujh ko ki.. gale lagalu aapne aap se main usko or keh du sabko, Na hoga kuch bura na hoga kuch galat hoga bas wahi jo chahega yeh dil aab... :)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment