Wednesday, January 6, 2016

Bachpan Ka Tamasha

Bachpan hawa main udta, masumiyat ko leke saath chalta. Har sapne ki khoj main khud ko jee leta. Khwabo ka jaise koi karwa hamesha uske dil main hota.

Par jaise kadam badte bojha dil main simatta, bachpan ko kuchalta, hoti zimmedariya jaise aage kardeti un sapno ko kahi ojhal hawa main, dil ki dhadkan jaise ban jati ghadi ki suyi, subha shaam jaise bas bina sune dil ki ban jate hum koi machine.

Kyu bhai, aisa kya Tamasha bana dala khud ka ki ghot diya gala bachpan Ka?? Na dil ki suni, Na sapno ki, bas dekhe jo sapne the us karwa main wo dhundhle pad gaye...

Abhi bhi waqt hai yaaro, sun lo aapne dil ko, kahi na ho jao itne sad ki bana lo Tamasha aapni zindagi ko..

No comments: